What Is Love In Hindi | Types Of Love | Sache Pyar Ki Nishaniya | Part-2

What Is Love In Hindi | Types Of Love | Sache Pyar Ki Nishaniya | Part-2

 Sache Pyar Ki Nishaniya
 Sache Pyar Ki Nishaniya


Dosto aaj hum What Is Love In Hindi Part-1 ka second part lekar aaye hai. Dosto apne dil ko surakshit rkhe, kyuki yah bohut nazuk hota hai. Kuch choti choti bate is par gahra parbhav dal deti hai. Ek kimti pathar ko jod kar rakhne ke liye sone aur chani ki parat deni padti hai. Dosto hume apne dil ko saaf rakhne ke liye positivity ki zrurat padti hai. Fir samay chahe jaisa bhi ho aap par koi asar nhi daal sakta hai. Dosto jab koi aapse bohut pyar jtata hai to hum samjh nhi pate ki us par kya react kiya jaye. Sache pyar ko pane ki power pyar ko batne se aati hai. Dosto hume hmesha ek dusro ki bato ko samjhna chahiye. Aaj hum aapko pyar ke kuch type ke bare me btayege gor se pdiyega.


Types Of Love 


Dosto wese to pyar kuch kaha nhi ja sakta ki pyar kitne type ka hota hai, Lekin aaj hum aapse pyar ke 3 type ke bare me baat krege.


 Sache Pyar Ki Nishaniya
 Sache Pyar Ki Nishaniya


1) Attrection Love (Love jo attrection se milta ho)
2) Luxuries Love (Love jo sukh-subhida se milta ho)
3) divine love (Real love)


1) Attrection Love (Love jo attrection se milta ho)


Dosto jab hum kisi se attrect ho jate hai aur hume lagta hai ki hume us se pyar ho gya hai, wo sirf kuch time ke liye hi hota hai. Kyuki Attrection se insaan sirf kuch time ke lilye hi samhohit hota hai, ye love samay ke sath sath kam ho jata hai aur bad me khatm ho jata hai.
 Sache Pyar Ki Nishaniya
 Sache Pyar Ki Nishaniya


2) Luxuries Love (Love jo sukh-subhida se milta ho)


Jo love sukh-subhida se milta hai wo kabhi safal nhi ho sakta. Kyuki usme koi josh, utsah ya aanand nhi hota hai. Example ke liye agar aap apne kisi nye dost ki tulna apne purane dost se kre to aapko jyada batter apne purane dost ke sath hi lgega. Esi tarah agar aap kisi ese insaan se love karte hai jiske sath aapko rahna comfertable lagta ho, sirf esi wajah se pyar karte ho, to is tarah ka pyar sirf kuch samay tak hi tik sakta hai.


3) divine love (Real love)


Sansarik love sagar ki tarah hota hai, Lekin sagar ki bhi stah hoti hai. Divine love aakash ke jaisa hota hai jiski koi seema nhi hoti. Sagar ki stah se aakash ke oor ki unchi udaan ko bharo. Divine love in sabhi relation se pre hai aur isme sabhi relation include hai.


 Sache Pyar Ki Nishaniya
 Sache Pyar Ki Nishaniya



Sache Pyar Ki Nishaniya


Pyar ho jaane par insaan apne sapno ko kisi aur ki soch se milane lagta hai, par kya ye pyar hi sacha pyar hai? kahin ye sirf attrection hi to nhi? Hum sabhi ko kabhi na kabhi kisi na kisi se pyar ho jata hai. Jis wakt ye feeling hmare man me aati hai hum ye bhrosa karne lagte hai ki yahi sahi baat hai baki sab kuch jhoot hai. Dosto yahan aaj aapko kuch esi bate btane jaa rhe hai jinhe sache pyar ka base mana jata hai. Agar aapka pyar sacha hai to kabhi na kabhi aapko ye bate mahsoos hogi aur agar nhi huyi to ab bhi wakt hai, Sacha pyar kabhi bhi kisi bhi umar me mil sakta hai.


 Sache Pyar Ki Nishaniya
 Sache Pyar Ki Nishaniya


1) Kya aapke sath esa hota hai ki agar aap sadak par akele chal rhe ho to aapke khyalo me sirf wohi shaks rahta hai.. aapke aaspas bohut si chije hoti hai lekin aapke vicharo me sirf wohi shaks rahta hai.

2) Kya apna pasand ka love song sunne par aapko sirf usi ki yad aati hai, aur aapko ye lagta hai ki us gaane ke sabhi word aapko hi dhyan me rakhkar liya gya ho.

3) Kya aapko us shaks ki har burayi aur bachkani harkat me bhi achayi nazar aati hai aur galtiyo par pyar aata hai.

4) Kya aap dono ke bich khoob bahas hoti hai lekin ant me aap sari bate bhul jate hai.

5) Kya aap uski gair-mojudgi me khud ko adhora feel karte hai. chahe kitne bhi log aapke sath ho aapki nazar use hi khojti hai.

6) Kya aapke dukhi hone par aapko bhi dukh hota hai aur aap chahte hai ki kaise bhi karke aap uske dukh ko door kre.

7) Kya aapko apne pyar par poora bhrosa hai aur aapko koi dar nhi hai ki aap use kho doge, kya aap is baat par yakin kar chuke hai ki wo hmehsa aapke sath rhega.


 Sache Pyar Ki Nishaniya
 Sache Pyar Ki Nishaniya


8) Kya aapko uske liye kisi chij ki kurbani dene me kuch bhi bura nhi lagta haiaur aapko lagta hai ki esa karne se khushi hogi islliye yahi karna sahi hai.

9) Aap khud to us se ladayi kar lete hai aur man hi man dukhi bhi hote hai. Par kya kisi aur ka uske khilaf bolna aapko zra bhi acha nhi lagta aur aap us dusre shaks ko khari-khoti suna dete hai.

10) Kya ab aap jo kuch bhi karte hai HUM ki bhavna rakhte hai aur MAIN ki bhavna ko uske mile ke baad se hi chod diya.

11) Kya kabhi public place par aap ek-dusro ko chedte hai aur ye bhul jate hai ki aapke aas-pas dusre bhi mojud hai.

12) Kya aapne is nye sathi milne ke baad se aap apne facebook page par kafi kuch badal chuke hai, yahan tak ki aapki profile picture bhi badal gyi hai. Aap aaye dino me romantic post update karte hai.


 Sache Pyar Ki Nishaniya
 Sache Pyar Ki Nishaniya


13) Kya ab aapko kahin bhi akele jana acha nhi lagta hai aur akele hone par aap uske sath ki icha karte hai.

14) Kya ab logo ne aapse ye puchna shuru kar diya hai ki dono shadi kab kar rhe hai.

15) Kya aap apne aap se ye kahte hai ki mujhe apne sathi ke liye sabse acha banna hai kyuki wo acha hai aur best desarve karta hai.


 Sache Pyar Ki Nishaniya
 Sache Pyar Ki Nishaniya


Dosto umid karte hai ki yah artical What Is Love In Hindi ka Part-2 aap sabhi ko bohut pasand aaya honga. Yahan diye gye sabhi Artical, shayari and status hum aapke liye khastor par chun kar late hai. Aap in sabhi Artical and shayari ko apne friends and apne lover ke sath facebook aur whatsapp par share kar unke dil me apne liye khas jagah bna sakte hai.

Dosto agar aap bhi koi Artical ya fir Shayari likhna pasand karte hai to aap hume Submit Shayari option par ja kar apna Artical and Shayari bhej sakte hai. Aapka Artical and Shayari Hum hmare aane wale nye post me aapke naam aur photo ke saath Publish krege.

Post a Comment

0 Comments